dil pareshān huā jaatā hai
aur sāmān huā jaatā hai
ḳhidmat-e-pīr-e-muġhāñ kar zāhid
tū ab insān huā jaatā hai
maut se pahle mujhe qatl karo
us kā ehsān huā jaatā hai
lazzat-e-ishq ilāhī miT jaa.e
dard armān huā jaatā hai
dam zarā lo ki mirā dam tum par
abhī qurbān huā jaatā hai
girya kyā zabt karūñ ai nāseh
ashk paimān huā jaatā hai
bevafā.ī se bhī rafta rafta
vo mirī jaan huā jaatā hai
arsa-e-hashr meñ vo aa pahuñche
saaf maidān huā jaatā hai
madad ai himmat-e-dushvār-pasañd
kaam āsān huā jaatā hai
chhā.ī jaatī hai ye vahshat kaisī
ghar bayābān huā jaatā hai
shikva sun aañkh milā kar zālim
kyuuñ pashemān huā jaatā hai
ātish-e-shauq bujhī jaatī hai
ḳhaak armān huā jaatā hai
uzr jaane meñ na kar ai qāsid
tū bhī nādān huā jaatā hai
muztarib kyuuñ na hoñ armāñ dil meñ
qaid mehmān huā jaatā hai
'dāġh' ḳhāmosh na lag jaa.e nazar
sher dīvān huā jaatā hai