maanā ki lab-e-zaḳhm duhā.ī nahīñ detā
mahram bhī to vo dast-e-hinā.ī haiñ detā
ye jashn hai kaise ki mubārak na salāmat
aapas maiñ koī shaḳhs badhā.ī nahīñ detā
kahte nahīñ sirf us ko faqat rañj-o-ta.ab hai
kuchh lutf ye be-ābla-pā.ī nahīñ detā
naqqād ki fan-kār kā mohtāt ravayya
gunjā.ish-e-añgusht-numāī nahīñ detā
aa jaao ki ab bhiig chalīñ raat ki palkeñ
vo shaḳhs to aatā bhī dikhā.ī nahīñ detā
imkān kī had merī ho kar letā huuñ islāh
maiñ apnī ḳhatāoñ ki safā.ī nahīñ detā
lafzoñ meñ rag-āsār kā ḳhuun aa to gayā hai
lekin ye abhī saaf dikhā.ī nahīñ detā
ai 'tāj' rifāqat na sahī dukh hai to ye hai
insāf bhī ik bhaa.ī ko bhaa.ī nahīñ detā