dil gayā tum ne liyā ham kyā kareñ
jaane vaalī chiiz kā ġham kyā kareñ
ham ne mar kar hijr meñ paa.ī shifā
aise achchhoñ kā vo mātam kyā kareñ
apne hī ġham se nahīñ miltī najāt
is binā par fikr-e-ālam kyā kareñ
ek sāġhar par hai apnī zindagī
rafta rafta is se bhī kam kyā kareñ
kar chuke sab apnī apnī hikmateñ
dam nikaltā ho to hamdam kyā kareñ
dil ne sīkhā sheva-e-begānagī
aise nā-mahram ko mahram kyā kareñ
ma.arka hai aaj husn o ishq kā
dekhiye vo kyā kareñ ham kyā kareñ
ā.īna hai aur vo haiñ dekhiye
faisla donoñ ye bāham kyā kareñ
aadmī honā bahut dushvār hai
phir farishte hirs-e-ādam kyā kareñ
tund-ḳhū hai kab sune vo dil kī baat
aur bhī barham ko barham kyā kareñ
Hyderabad aur lañgar yaad hai
ab ke dillī meñ moharram kyā kareñ
kahte haiñ ahl-e-sifārish mujh se 'dāġh'
terī qismat hai burī ham kyā kareñ