Dagh Dehlvi

mohabbat ka asar jata kahan hai

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
mohabbat kā asar jaatā kahāñ hai
hamārā dard-e-sar jaatā kahāñ hai
dil-e-betāb siine se nikal kar
chalā hai tū kidhar jaatā kahāñ hai
adam kahte haiñ us kūche ko ai dil
idhar aa be-ḳhabar jaatā kahāñ hai
kahūñ kis muñh se maiñ tere dahan hai
jo hotā to kidhar jaatā kahāñ hai
tire jaate hī mar jā.ūñgā zālim
mujhe tū chhoḌ kar jaatā kahāñ hai
hamāre haath se dāman bachā kar
are bedād-gar jaatā kahāñ hai
tirī chorī hī sab merī nazar meñ
churā kar tū nazar jaatā kahāñ hai
agarche pā-shikasta ham haiñ ai 'dāġh'
magar qasd-e-safar jaatā kahāñ hai
Top Urdushayar.com