payāmī kāmyāb aa.e na aa.e
ḳhudā jaane javāb aa.e na aa.e
tire ġhamzoñ ko apne kaam se kaam
kisī ke dil ko taab aa.e na aa.e
use sharmā.eñge zikr-e-adū par
ye qismat hai hijāb aa.e na aa.e
tum aao jab savār-e-tausan-e-nāz
qayāmat ham-rikāb aa.e na aa.e
shumār apnī ḳhatāoñ kā batā duuñ
tumheñ shāyad hisāb aa.e na aa.e
na.e ḳhanjar se mujh ko zab.h kiije
phir aisī āb-o-tāb aa.e na aa.e
shab-e-vasl-e-adū terī balā se
kisī muztar ko ḳhvāb aa.e na aa.e
piyūñgā aaj saaqī ser ho kar
mayassar phir sharāb aa.e na aa.e
ye jā kar pūchh aa tū un se darbāñ
ki vo ḳhāna-ḳharāb aa.e na aa.e
na dekho 'dāġh' kā dīvān dekho
samajh meñ ye kitāb aa.e na aa.e