qarīne se ajab ārāsta qātil kī mahfil hai
jahāñ sar chāhiye sar hai jahāñ dil chāhiye dil hai
har ik ke vāste kab ishq kī dushvār manzil hai
jise āsāñ hai āsāñ hai jise mushkil hai mushkil hai
zahe taqdīr kis ārām o rāhat se vo bismil hai
ki jis ke sar kā takiya der se zānū-e-qātil hai
tarīq-e-ishq kuchh āsān hai kuchh ham ko mushkil hai
idhar rahbar udhar rahzan yahī manzil-ba-manzil hai
mujhe tujh se rukāvaT aur tū ġhairoñ pe maa.il hai
mirā dil ab tirā dil hai tirā dil ab mirā dil hai
baḌhā dil is qadar fart-e-ḳhushī se vasl kī shab ko
mujhe ye vahm thā pahlū meñ ye takiya hai yā dil hai
tirī talvār ke qurbān ai saffāk kyā kahnā
idhar kushte pe kushta hai udhar bismil pe bismil hai
adam meñ le chalā hai rahnumā-e-ishq kyā mujh ko
yahī kahtā hai aa pahuñche haiñ thoḌī duur manzil hai
unheñ jab mehrbāñ pā kar savāl-e-vasl kar baiThā
dabī āvāz se sharmā ke vo bole ye mushkil hai
sitam bhī ho to mujh par ho jafā bhī ho to mujh par ho
mujhe is rashk ne maarā vo kyuuñ aalam kā qātil hai
masīhā ne tire bīmār ko dekhā to farmāyā
na ye jiine ke qābil hai na ye marne ke qābil hai
zabardastī to dekho haath rakh kar mere siine par
vo kis da.ave se kahte haiñ hamārā hī to ye dil hai
hamāre dil meñ aa kar sair dekho ḳhūb-rūyoñ kī
ki indr kā akhāḌā hai parī-zādoñ kī mahfil hai
madārij ishq ke tai ho sakeñ ye ho nahīñ saktā
zamīñ se arsh tak ai be-ḳhabar manzil-ba-manzil hai
jhiḌakte ho mujhe kyuuñ duur hī se paas aane do
baḌhā kar haath dil detā huuñ tum samjhe ho saa.il hai
sunā bhī tū ne ai dil kyā sadā aatī hai mahshar meñ
yahī din imtihāñ kā hai hamāre kaun shāmil hai
uḌāte haiñ maze duniyā ke ham ai 'dāġh' ghar baiThe
dakan meñ ab to afzalganj apnī aish manzil hai