jo dil qaabū meñ ho to koī rusvā-e-jahāñ kyuuñ ho
ḳhalish kyuuñ ho tapish kyuuñ ho qalaq kyuuñ ho fuġhāñ kyuuñ ho
mazā aatā nahīñ tham tham ke ham ko rañj-o-rāhat kā
ḳhushī ho ġham ho jo kuchh ho ilāhī nā-gahāñ kyuuñ ho
ye misra.a likh diyā zālim ne merī lauh-e-turbat par
jo ho furqat kī betābī to yuuñ ḳhvāb-e-girāñ kyuuñ ho
hamesha aadmī kā aadmī ġham-ḳhvār hotā hai
yahī be-e'tibārī ho to koī rāzdāñ kyuuñ ho
bahut nikleñge roz-e-hashr tere jaur ke ḳhvāhāñ
sitam kā hausla duniyā meñ sarf-e-imtihāñ kyuuñ ho
ġhazab aayā sitam TuuTā qayāmat ho ga.ī barpā
ye pūchhā thā ki tum āzurda mujh se merī jaañ kyuuñ ho
unhīñ ko ranjish-e-bejā hai lekin hai to ham se hai
mohabbat gar na ho bāham shikāyat darmiyāñ kyuuñ ho
ga.e Thukrā ke mujh ko aur phir kahte ga.e ye bhī
nasīb-e-dushmanāñ to pā.emāl-e-āsmāñ kyuuñ ho
na.ī tākīd hai zabt-e-mohabbat kī vo kahte haiñ
jigar ho to fuġhāñ kyuuñ ho dahan ho to zabāñ kyuuñ ho
sharīk-e-daur-e-mai bazm-e-adū meñ ḳhaak hote ham
kisī ne rāt-bhar itnā na pūchhā tum yahāñ kyuuñ ho
tahammul kar sake kyā husn-e-nāzuk un nigāhoñ kā
use maiñ ne chhupāyā hai vagarna vo nihāñ kyuuñ ho
ḳhudā shāhid ḳhudā shāhid hai kyuuñ kahte ho va.adoñ par
ḳhudā ko kyā ġharaz mere tumhāre darmiyāñ kyuuñ ho
jigar se kam nahīñ ai chāragar dāġh-e-jigar mujh ko
jo paidā kī ho mar mar ke vo daulat rā.egāñ kyuuñ ho
naved-e-jāñ-fizā hai kyā ḳhabar qātil ke aane kī
batāo to sahī tum 'dāġh' aise shādmāñ kyuuñ ho