sitam hī karnā jafā hī karnā nigāh-e-ulfat kabhī na karnā
tumheñ qasam hai hamāre sar kī hamāre haq meñ kamī na karnā
hamārī mayyat pe tum jo aanā to chaar aañsū bahā ke jaanā
zarā rahe pās-e-ābrū bhī kahīñ hamārī hañsī na karnā
kahāñ kā aanā kahāñ kā jaanā vo jānte hī nahīñ ye rasmeñ
vahāñ hai va.ade kī bhī ye sūrat kabhī to karnā kabhī na karnā
liye to chalte haiñ hazrat-e-dil tumheñ bhī us anjuman meñ lekin
hamāre pahlū meñ baiTh kar tum hamīñ se pahlū-tahī na karnā
nahīñ hai kuchh qatl un kā āsāñ ye saḳht-jāñ haiñ bure balā ke
qazā ko pahle sharīk karnā ye kaam apnī ḳhushī na karnā
halāk andāz-e-vasl karnā ki parda rah jaa.e kuchh hamārā
ġham-e-judā.ī meñ ḳhaak kar ke kahīñ adū kī ḳhushī na karnā
mirī to hai baat zahr un ko vo un ke matlab hī kī na kyuuñ ho
ki un se jo iltijā se kahnā ġhazab hai un ko vahī na karnā
huā agar shauq aa.ine se to ruḳh rahe rāstī kī jānib
misāl-e-āriz safā.ī rakhnā ba-rañg-e-kākul kajī na karnā
vo hī hamārā tarīq-e-ulfat ki dushmanoñ se bhī mil ke chalnā
ye ek sheva tirā sitamgar ki dost se dostī na karnā
ham ek rasta galī kā us kī dikhā ke dil ko hue pashemāñ
ye hazrat-e-ḳhizr ko jatā do kisī kī tum rahbarī na karnā
bayān-e-dard-e-firāq kaisā ki hai vahāñ apnī ye haqīqat
jo baat karnī to naala karnā nahīñ to vo bhī kabhī na karnā
madār hai nāseho tumhīñ par tamām ab us kī munsifī kā
zarā to kahnā ḳhudā-lagī bhī faqat suḳhan-parvarī na karnā
burī hai ai 'dāġh' rāh-e-ulfat ḳhudā na le jaa.e aise raste
jo apnī tum ḳhair chāhte ho to bhuul kar dil-lagī na karnā