in āñkhoñ ne kyā kyā tamāshā na dekhā
haqīqat meñ jo dekhnā thā na dekhā
tujhe dekh kar vo duī uTh ga.ī hai
ki apnā bhī saanī na dekhā na dekhā
un āñkhoñ ke qurbān jā.ūñ jinhoñ ne
hazāroñ hijāboñ meñ parvāna dekhā
na himmat na qismat na dil hai na āñkheñ
na DhūñDā na paayā na samjhā na dekhā
marīzān-e-ulfat kī kyā be-kasī hai
masīhā ko bhī chāra-farmā na dekhā
bahut dard-mandoñ ko dekhā hai tū ne
ye siina ye dil ye kalejā na dekhā
vo kab dekh saktā hai us kī tajallī
jis insān ne apnā hī jalvā na dekhā
bahut shor sunte the is anjuman kā
yahāñ aa ke jo kuchh sunā thā na dekhā
safā.ī hai bāġh-e-mohabbat meñ aisī
ki bād-e-sabā ne bhī tinkā na dekhā
vo thā jalva-ārā magar tū ne muusā
na dekhā na dekhā na dekhā na dekhā
gayā kārvāñ chhoḌ kar mujh ko tanhā
zarā mere aane kā rastā na dekhā
kahāñ naqsh-e-avval kahāñ naqsh-e-sānī
ḳhudā kī ḳhudā.ī meñ tujh sā na dekhā
tirī yaad hai yā hai terā tasavvur
kabhī 'dāġh' ko ham ne tanhā na dekhā