Dagh Dehlvi

maze ishq ke kuchh wahi jaante hain

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
maze ishq ke kuchh vahī jānte haiñ
ki jo maut ko zindagī jānte haiñ
shab-e-vasl liiñ un kī itnī balā.eñ
ki hamdam mire haath hī jānte haiñ
na ho dil to kyā lutf-e-āzār-o-rāhat
barābar ḳhushī nā-ḳhushī jānte haiñ
jo hai mere dil meñ unhīñ ko ḳhabar hai
jo maiñ jāntā huuñ vahī jānte haiñ
paḌā huuñ sar-e-bazm maiñ dam churā.e
magar vo ise be-ḳhudī jānte haiñ
kahāñ qadr-e-ham-jins ham-jins ko hai
farishtoñ ko bhī aadmī jānte haiñ
kahūñ hāl-e-dil to kaheñ us se hāsil
sabhī ko ḳhabar hai sabhī jānte haiñ
vo nādān anjān bhole haiñ aise
ki sab sheva-e-dushmanī jānte haiñ
nahīñ jānte is kā anjām kyā hai
vo marnā merā dil-lagī jānte haiñ
samajhtā hai tū 'dāġh' ko rind zāhid
magar rind us ko valī jānte haiñ
Top Urdushayar.com