Dagh Dehlvi

dekh kar joban tera kis kis ko hairani hui

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
dekh kar joban tirā kis kis ko hairānī huī
is javānī par javānī aap dīvānī huī
parde parde meñ mohabbat dushman-e-jānī huī
ye ḳhudā kī maar kyā ai shauq-e-pinhānī huī
dil kā saudā kar ke un se kyā pashemānī huī
qadr us kī phir kahāñ jis shai kī arzānī huī
mere ghar us shoḳh kī do din se mehmānī huī
bekasī kī aaj kal kyā ḳhāna-vīrānī huī
tark-e-rasm-o-rāh par afsos hai donoñ taraf
ham se nādānī huī yā tum se nādānī huī
ibtidā se intihā tak haal un se kah to duuñ
fikr ye hai aur jo kah kar pashemānī huī
ġham qayāmat kā nahīñ vaa.iz mujhe ye fikr hai
diin kab baaqī rahā duniyā agar faanī huī
tum na shab ko aaoge ye hai yaqīñ aayā huā
tum na mānoge mirī ye baat hai maanī huī
mujh meñ dam jab tak rahā mushkil meñ the tīmārdār
merī āsānī se sab yāroñ kī āsānī huī
is ko kyā kahte haiñ utnā hī baḌhā shauq-e-visāl
jis qadar mash.hūr un kī pāk-dāmānī huī
bazm se uThne kī ġhairat baiThne se dil ko rashk
dekh kar ġhairoñ kā majma.a kyā pareshānī huī
dāva-e-tasḳhīr par ye us parī-vash ne kahā
aap kā dil kyā huā mohr-e-slemānī huī
khul ga.iiñ zulfeñ magar us shoḳh mast-e-nāz kī
jhūmtī bād-e-sabā phirtī hai mastānī huī
maiñ sarāpā sajde kartā us ke dar par shauq se
sar se pā tak kyuuñ na peshānī hī peshānī huī
dil kī qalb-e-māhiyat kā ho use kyūñkar yaqīñ
kab havā miTTī huī hai aag kab paanī huī
aate hī kahte ho ab ghar jā.eñge achchhī kahī
ye masal puurī yahāñ man-mānī ghar jaanī huī
arsa-e-mahshar meñ tujh ko DhūñD lā.ūñ to sahī
koī chhup saktī hai jo sūrat ho pahchānī huī
dekh kar qātil kā ḳhālī haath bhī jī Dar gayā
us kī chīn-e-āstīñ bhī chīn-e-peshānī huī
khā ke dhokā us but-e-kamsin ne dāman meñ liye
ashk-afshānī bhī merī gauhar-afshānī huī
bekasī par merī apnī teġh kī hasrat to dekh
chashm-e-jauhar bhī ba-shakl-e-chashm-e-hairānī huī
bekasī par 'dāġh' kī afsos aatā hai hameñ
kis jagah kis vaqt us kī ḳhāna-vīrānī huī
Top Urdushayar.com