nazar milāte nahīñ muskurā.e jaate haiñ
batāo yuuñ bhī kahīñ dil milā.e jaate haiñ
hujūm-e-jalva-e-rañgīñ kā mudda.ā ma.alūm
hamārī tāb-e-nazar āzmā.e jaate haiñ
hijāb ho magar aisā bhī kyā hijāb āḳhir
jhalak dikhāte nahīñ muñh chhupā.e jaate haiñ
hudūd-e-kūcha-e-jānāñ meñ aa ga.e shāyad
qadam qadam pe qadam Dagmagā.e jaate haiñ
ye kis kā zikr hai ai 'tāj' lab pe shām-o-sahar
ye kis ki yaad meñ aañsū bahā.e jaate haiñ