uzr un kī zabān se niklā
tiir goyā kamān se niklā
vo chhalāvā is aan se niklā
al-amāñ har zabān se niklā
ḳhār-e-hasrat bayān se niklā
dil kā kāñTā zabān se niklā
fitna-gar kyā makān se niklā
āsmāñ āsmān se niklā
aa gayā ġhash nigāh dekhte hī
mudda.ā kab zabān se niklā
khā ga.e the vafā kā dhokā ham
jhuuT sach imtihān se niklā
dil meñ rahne na duuñ tirā shikva
dil meñ aayā zabān se niklā
vahm aate haiñ dekhiye kyā ho
vo akelā makān se niklā
tum baraste rahe sar-e-mahfil
kuchh bhī merī zabān se niklā
sach to ye hai mo.āmla dil kā
bāhar apne gumān se niklā
us ko aayat hadīs kyā samjheñ
jo tumhārī zabān se niklā
paḌ gayā jo zabāñ se terī harf
phir na apne makān se niklā
dekh kar rū-e-yār salle-alā
be-tahāshā zabān se niklā
lo qayāmat ab aa.ī vo kāfir
ban-banā kar makān se niklā
mar ga.e ham magar tirā armān
dil se niklā na jaan se niklā
rāh-rav-e-rāh-e-ishq the lākhoñ
aage maiñ kārvān se niklā
samjho patthar kī tum lakīr use
jo hamārī zabān se niklā
bazm se tum ko le ke jā.eñge
kaam kab phūl-pān se niklā
kyā muravvat hai nāvak-e-dil-doz
pahle hargiz na jaan se niklā
tere dīvānoñ kā bhī lashkar aaj
kis tajammul se shaan se niklā
muḌ ke dekhā to maiñ ne kab dekhā
duur jab pāsbān se niklā
vo hile lab tumhāre vaade par
vo tumhārī zabān se niklā
us kī bāñkī adā ne jab maarā
dam mirā aan taan se niklā
mere aañsū kī us ne kī tārīf
ḳhuub motī ye kaan se niklā
ham khaḌe tum se bāteñ karte the
ġhair kyuuñ darmiyān se niklā
zikr ahl-e-vafā kā jab aayā
'dāġh' un kī zabān se niklā