Dagh Dehlvi

kya tarz-e-kalam ho gai hai

Dagh Dehlvi

Delhi, India

1831-1905
kyā tarz-e-kalām ho ga.ī hai
har baat payām ho ga.ī hai
kuchh zahr na thī sharāb-e-añgūr
kyā chiiz harām ho ga.ī hai
aage to nahīñ nahīñ sunī thī
ab takiya-kalām ho ga.ī hai
jaate jaate payām-bar ko
har sub.h se shaam ho ga.ī hai
ab dekhiye mashq-e-pā.emālī
tārīf-e-ḳhirām ho ga.ī hai
pahuñche haiñ jab us kī bazm meñ ham
majlis hī tamām ho ga.ī hai
aalam ko hai dāva-e-mohabbat
ye ḳhaas bhī aam ho ga.ī hai
us but ke hamīñ nahīñ haiñ bande
maḳhlūq ġhulām ho ga.ī hai
barbād na hogī terī ulfat
tajvīz maqām ho ga.ī hai
jāgīr junūñ kī qais ke ba.ad
ab 'dāġh' ke naam ho ga.ī hai
Top Urdushayar.com