Riyasat Ali Taj

kaha ye kis ne mujhe zindagi se pyar nahin

Riyasat Ali Taj

Kareem Nagar, Telangana, India

1930
kahā ye kis ne mujhe zindagī se pyaar nahīñ
ye aur baat hai hālāt ḳhush-gavār nahīñ
bisāt hī to hai kyā jaane kab ulaT jaa.e
yahāñ pyāda-o-farzīñ kā e'tibār nahīñ
jahāñ jahāñ nazar uTThī vahāñ vahāñ tū thā
kahāñ kahāñ tire jalvoñ kā intishār nahīñ
vo kyā kisī kī nigāhoñ pe e'tibār kare
jise ḳhud apnī nigāhoñ pe e'tibār nahīñ
fusūñ-shanās huuñ maiñ rañg-o-bū samajhtā huuñ
fareb-ḳhurda-e-rañgīnī-e-bahār nahīñ
nahīñ hai koī bhī shai qabza-e-tasarruf meñ
kisī bhī chiiz pe insāñ ko iḳhtiyār nahīñ
dam-e-habāb navāzish kī is qadar bārish
gunāhgār bhī jaise gunāhgār nahīñ
nazar kā kyā hai bahak bhī ga.ī hai ye aksar
hamārā dāman-e-dil hai ki dāġhdār nahīñ
abhī to kashmakash-e-dār-o-gīr baaqī hai
abhī hayāt kā māhaul sāzgār nahīñ
mirī ravish hai alag 'tāj' merā zauq judā
adab ko bech ke jiinā merā shu.ūr nahīñ
Top Urdushayar.com