vafā kī aas meñ dil de ke pachhtāyā nahīñ karte
ye naḳhl-e-ārzū hai is meñ phal aayā nahīñ karte
ḳhayāloñ meñ jab aate haiñ to pahroñ jā nahīñ paate
ham ab be-vasl tanhā.ī bhī ghabrāyā nahīñ karte
hamārī niiñd se kyā vāsta hai un kī nīñdoñ ko
sunā hai vo bhī ab ārām farmāyā nahīñ karte
zarā se kyā payām aatā hai dushman jal ke marte haiñ
ḳhudā kā shukr hai vo ḳhud idhar aayā nahīñ karte
na tum aao na niiñd aa.e na hī kam-baḳht maut aa.e
ye kaisī kashmakash hai yuuñ bhī taḌpāyā nahīñ karte
hamārī tishnagī-e-dīd ik din rañg lā.egī
shahīdoñ kī qasam pyāsoñ ko tarsāyā nahīñ karte
hamāre gird jo phirte the ḳhush-hālī ke aalam meñ
shikāyat kyā ki 'tāj' ab bhuul kar aayā nahīñ karte