nazar ne kaam kiyā dil ke tarjumāñ kī tarah
nigāheñ kah ga.ī sab hāl-e-dil zabāñ kī tarah
kiye the be-ḳhudī-e-shauq meñ jahāñ sajde
vahī zamīñ nazar aatī hai āsmāñ kī tarah
nazar milī hai to pahchān jaa.e ahl-e-chaman
dikhā.ī dete haiñ gulchīñ bhī bāġhbāñ kī tarah
kitāb-e-zīst kā shīrāza-band koī nahīñ
bikhar ga.ī hai kisī nazm-e-bostān kī tarah
na barg-o-bār na shādābiyāñ na ġhuncha-o-gul
yahī bahār agar hai to hai ḳhizāñ kī tarah
tumhāre shahr meñ muddat se ye tamannā hai
dikhā.ī de koī be-mehr mehrbāñ kī tarah
ḳhudā-gavāh ki ik umr kā asāsa hai
na kyuuñ aziiz rakhūñ ilm-o-fan ko jaañ kī tarah
kise batā.eñ ki the ham bhī ham-nashīñ ai 'saif'
vo 'tāj' bhuul ga.e yād-e-raftagāñ kī tarah