ye gardish-e-hālāt ye afkār-e-zindagī
kaT jaa.e jaise bhī ho shab-tār-e-zindagī
rakhtā hai us ko kitne masā.il meñ gher kar
āzād ho na jaa.e giraftār-e-zindagī
ab aur kyā nisār kareñ tujh pe ai hayāt
sab kuchh luTā chuke sar-e-bāzār-e-zindagī
maiñ kyā kahūñ ki sharm sī aatī hai dostoñ
jab dekhtā huuñ pastī-e-kirdār-e-zindagī
kyā dekhte hī dekhte sab kuchh badal ga.e
raftār-e-zindagī na vo guftār-e-zindagī
kyā ḳhaak kam hoñ 'tāj' ye ālām-e-rozgār
hai zindagī ke saath ye āzār-e-zindagī