ye ālam-e-vahshat hai ki dahshat kā asar hai
dāman kī ḳhabar hai na garebāñ kī ḳhabar hai
dil toḌne vaale ye tujhe kuchh bhī ḳhabar hai
allāh kā ghar hai are allāh kā ghar hai
dekhoge jo hālāt pe thoḌī sī nazar hai
har shaḳhs ġhulām-e-asar-o-banda-e-zar hai
do-chār qadam chal ke Thaharte nahīñ rahrav
taz.hīk-e-manāzil hai ye tauhīn-e-safar hai
kitne hī uluum is meñ haiñ poshīda-o-darkār
ye sher-o-suḳhan khel nahīñ 'tāj'-e-hunar hai