chāñdnī chhiTkī huī ho to ġhazal hotī hai
jal-parī paas khaḌī ho to ġhazal hotī hai
dil-nashīñ koī nazāra koī dilkash manzar
baat dilchasp koī ho to ġhazal bantī hai
yā kisī dard meñ Duubī huī āvāz-e-nahīf
yā koī chīḳh sunī ho to ġhazal hotī hai
shā.irī naam hai ehsās ke lau paane kā
aag sī dil meñ dabī ho to ġhazal hotī hai
koī khiltā huā chehrā koī ġhuncha koī phuul
aañkh sairāb huī ho to ġhazal hotī hai
darmiyāñ aap ke mere koī haa.il ho jaa.e
koī dīvār khaḌī ho to ġhazal hotī hai
koī jiddat koī nudrat koī pākīza ḳhayāl
haañ koī baat na.ī ho to ġhazal hotī hai
pahle shā.ir ko mile zehn-e-rasā qalb-gudāz
phir vo lafzoñ kā dhanī ho to ġhazal hotī hai
aam hālāt meñ hotī nahīñ ai 'tāj' ġhazal
kuchh na kuchh dard-sarī ho to ġhazal hotī hai