Riyasat Ali Taj

ek barq-e-tapan kaudde bijli si chamke jae

Riyasat Ali Taj

Kareem Nagar, Telangana, India

1930
ik barq-e-tapāñ kauñde bijlī sī chamke jaa.e
is āriz-e-rañgīñ se parda jo sarak jaa.e
zāhid ho to chhak jaa.e nāseh ho to thak jaa.e
kam-zarf hai vo mai-kash jo pī ke bahak jaa.e
sāvan kī ghaTā uTThe bhādoñ kā samāñ bāñdhe
vo zulf jo bikhrā de māhaul mahak jaa.e
kaliyoñ ke tabassum par tum bhī na kahīñ hañs do
Dar hai ki rag-e-gul meñ kāñTe na khaTak jaa.e
ai jur.at-e-rindāna kuchh tū hī madad farmā
yā un kā hijāb uTThe yā merī jhijhak jaa.e
aa.e bhī to ho jaa.e jazb āñkhoñ hī āñkhoñ meñ
vo ashk nahīñ hai jo palkoñ se Dhalak jaa.e
kyā shai hai ta.alluq bhī kyā chiiz hai nisbat bhī
jab zikr tirā aa.e kāñTā sā khaTak jaa.e
ab sabr-o-tahammul kā ai 'tāj' ḳhudā-hāfiz
paimāna labālab hai dekho na chhalak jaa.e
Top Urdushayar.com