Riyasat Ali Taj

sar-e-niyaz jhukana koi mazaq nahin

Riyasat Ali Taj

Kareem Nagar, Telangana, India

1930
sar-e-niyāz jhukānā koī mazāq nahīñ
anā-e-qalb miTānā koī mazāq nahīñ
laboñ pe aah ba-har-hāl aa hī jaatī hai
jigar kī choT chhupānā koī mazāq nahīñ
nuqūsh-e-qalb miTāne se miT nahīñ sakte
kisī ko dil se bhulānā koī mazāq nahīñ
hañsī hañsī meñ bhī kyā kyā gurez-pā.ī hai
tarāshte haiñ bahāna koī mazāq nahīñ
jahāñ adab meñ siyāsat chalī jaatī hai
vahāñ bhī rañg jamānā koī mazāq nahīñ
nikālte ho zamīneñ na.ī na.ī lekin
radīf kā bhī nibhānā koī mazāq nahīñ
jo ahl-e-ilm haiñ kāñTe haiñ un kī rāhoñ meñ
ab un ko 'tāj' haTnā koī mazāq nahīñ
Top Urdushayar.com