Riyasat Ali Taj

zad-e-rah bhi nahin be-raKHt-e-safar jate hain

Riyasat Ali Taj

Kareem Nagar, Telangana, India

1930
zād-e-rah bhī nahīñ be-raḳht-e-safar jaate haiñ
saḳht hairat hai ki ye log kidhar jaate haiñ
be-ḳhudī meñ tire dīvāne jidhar jaate haiñ
manzileñ pūchhtī phirtī haiñ kidhar jaate haiñ
vaqt paḌ jaa.e to ham sīna-sipar jaate haiñ
naam hī naam nahīñ kaam bhī kar jaate haiñ
haa.e kis moḌ pe hālāt ne pahuñchāyā hai
aap ham-sā.e se ham saa.e se Dar jaate haiñ
ohde-dāroñ meñ bhī ḳhushbū hai hasīnoñ kī sī
va.ada kar lete haiñ aur saaf mukar jaate haiñ
aap jā sakte nahīñ chāñd-sitāroñ se pare
ham varā-e-had-e-idrāk-e-nazar jaate haiñ
aap ke tanz sar āñkhoñ pe magar yaad rahe
ye vo nashtar haiñ ke siine meñ utar jaate haiñ
jab bhī hotā hai kahīñ tazkira-e-mehr-o-vafā
bhūle-bisre hue kuchh naqsh ubhar jaate haiñ
ilm ke saath salīqa ho to phir kyā kahnā
rañg-e-uslūb' se afkār nikhar jaate haiñ
aap dekheñ ye mirī niiñd se bojhal āñkheñ
ho chukī raat ijāzat ho to ghar jaate haiñ
zulf kholo to ghanī chhāñv maiñ kuchh sustā leñ
do-ghaḌī ke liye saa.e meñ Thahar jaate haiñ
zaḳhm alfāz ke nāsūr huā karte haiñ
baat zaḳhmoñ ki nahīñ zaḳhm to bhar jaate haiñ
ham to vārafta-e-ulfat meñ hamārā kyā hai
aaj ye raat ga.e aap kidhar jaate haiñ
kuchh na kuchh hote haiñ har shahr meñ fan ke pārakh
qadr hotī hai jahāñ ahl-e-hunar jaate haiñ
laakh sanjīda sahī 'tāj' hasīnoñ kī ravish
dil uḌā lene ke andāz kidhar jaate haiñ
Top Urdushayar.com