Riyasat Ali Taj

aap apni naqab hai pyare

Riyasat Ali Taj

Kareem Nagar, Telangana, India

1930
aap apnī naqāb hai pyāre
ye bhī koī hijāb hai pyāre
naqsh-bar-rū-e-āb hai pyāre
zindagī ik habāb hai pyāre
le ke chal shaiḳh daftar-e-taqvā
aaj roz-e-hisāb hai pyāre
terā husn-o-jamāl kyā kahnā
māhtāb āftāb hai pyāre
kaun jaatā hai dil meñ aa aa kar
har sukūñ iztirāb hai pyāre
husn taqvā-shikan sahī lekin
ishq ḳhāna-ḳharāb hai pyāre
ik sarāpā surūr-o-bad-mastī
aañkh kyā hai sharāb hai pyāre
mere zauq-e-nazar kī rusvā.ī
kis ḳhatā kā itaab hai pyāre
is qadar bhī na 'tāj' itrānā
chaar din kā shabāb hai pyāre
Top Urdushayar.com