ye ruashnī-e-tab.a dikhāne kī aarzū
achchhī nahīñ balā ko bulāne kī aarzū
jo ġham mile gale se lagāne kī aarzū
rasm-o-rah-e-hayāt nibhāne kī aarzū
ye bhī bhalā hai koī Thikāne ki aarzū
har naqsh-e-ārzū ko miTāne kī aarzū
sahrā ki saḳht dhuup meñ jalte hue badan
bār-e-ġham-e-hayāt uThāne ki aarzū
har zāviye se husn-e-badan dekhne kā shauq
rakhte haiñ log ā.īna-ḳhāne kī aarzū
ye ḳhvāhisheñ ye jehd-e-musalsal ye dauḌ-dhūp
naqsh-o-nigār-e-zīst banāne kī aarzū
apnī shanāḳht ye hai ki ghar hai na dar magar
dīvār-o-dar pe naam likhāne kī aarzū
ye qurbatoñ kī raat ye jalte hue badan
niklegī aaj ek zamāne kī aarzū
badnām ho chukā hai ye fann-e-sharēf bhī
kahne kā shauq hai na sunāne kī aarzū
apnī matā-e-ġham ko liye ham bhī lauT aa.e
har shaḳhs ko thī apnī sunāne kī aarzū
jis haal meñ haiñ sābir-o-shākir haiñ 'tāj' ham
khone kā koī ġham hai na paane kī aarzū