Jauhar Nizami

be-KHud mujhe ai jalwa-e-jaanana bana de

Jauhar Nizami

be-ḳhud mujhe ai jalva-e-jānāna banā de
duniyā mirī hairat ko tamāshā na banā de
ai ishq ab ehsās se begāna banā de
varna kahīñ ġham-e-dil ko khilaunā na banā de
jis bazm meñ pahuñchūñ maiñ banūñ bazm kā hāsil
itnā to tirī chashm-e-karīmāna banā de
aayā huuñ maiñ bhaTkā huā sahrā-e-junūñ se
ai aql kahīñ tū bhī na dīvāna banā de
mahfil mirī āñkhoñ meñ tujhe DhūñD rahī hai
tū mujh ko kahīñ anjuman-ārā na banā de
bad-baḳht huuñ jaate hue Dartā huuñ chaman meñ
qismat kahīñ har phuul ko kāñTā na banā de
'jauhar' pe sitam tark-e-mohabbat kī hai tamhīd
ye jaur tumheñ aur bhī pyārā na banā de
har gaam pe kuchh phuul chune jaate ho 'jauhar'
ye shauq kahīñ baaġh ko sahrā na banā de
Top Urdushayar.com