haqīqatoñ se hai duniyā ko ehtirāz bahut
ki hai mizāj-e-zamāna fasāna-sāz bahut
tirā ġhurūr-e-ibādat tujhe na le Duube
sunā hai paḌhtā thā iblīs bhī namāz bahut
koī bhī fitrat-e-yazdāñ kā rakh sakā na bharam
jo nā-sazā the vo kahlā.e pāk-bāz bahut
ye kah rahe the kal āvārgān-e-kūcha-e-yār
adā.eñ aaj bhī us kī haiñ dil-navāz bahut
unheñ shu.ūr-e-mohabbat nahīñ ḳhudā kī qasam
jo log haiñ tirī mahfil meñ sarfarāz bahut
mirī ḳhushī kā zamāna havā kā jhoñkā thā
mire ġhamoñ kī rahī zindagī darāz bahut
ye husn-o-ishq kā jauhar hai aur kuchh bhī nahīñ
vo ḳhud-pasand bahut haiñ maiñ be-niyāz bahut