Abdul Hamid

kitni mahbub thi zindagi kuchh nahin kuchh nahin

Abdul Hamid

Allahabad, Uttar pradesh, India

1953
kitnī mahbūb thī zindagī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
kyā ḳhabar thī is anjām kī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
aaj jitne barādar mile chāk-chādar mile
kaisī phailī hai dīvāngī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
pech-dar-pech chalte ga.e ham nikalte ga.e
jaane kyā thī galī-dar-galī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
mauj-dar-mauj ik fāsla rafta rafta baḌhā
kashtī āñkhoñ se ojhal huī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
saath mere koī aur thā ai havā ai havā
naam tū jis kā letī rahī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
shaam sākit shajar-dar-shajar rahguzar rahguzar
aañkh maltī uThī tīrgī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
jā ke tū dil meñ dar aa.egā mere ghar aa.egā
hai judā.ī ghaḌī do ghaḌī kuchh nahīñ kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com