paañv rukte hī nahīñ zehn Thahartā hī nahīñ
koī nashsha hai thakan kā ki utartā hī nahīñ
din guzarte haiñ guzarte hī chale jaate haiñ
ek lamha jo kisī tarah guzartā hī nahīñ
bhārī darvāza-e-āhan ki nahīñ khul paatā
mere siine meñ ye sannāTā utartā hī nahīñ
dast-e-jāñ se maiñ uThā luuñ use pī luuñ lekin
dil vo zahrāb pyāla hai ki bhartā hī nahīñ
kyā liye phirtā huuñ maiñ aab sarāb āñkhoñ meñ
Dūbtā hī nahīñ koī ki ubhartā hī nahīñ
ye pighaltī hī nahīñ sham.a ki jaltī hī nahīñ
ye bikhartā hī nahīñ dasht ki martā hī nahīñ
kuchh na kahiye to bhalā yuuñ hī samajhte rahiye
pūchh liije to vo aiboñ se mukartā hī nahīñ