kisī dasht o dar se guzarnā bhī kyā
hue ḳhaak jab to bikharnā bhī kyā
vahī ik samundar vahī ik havā
mirī shaam terā sañvarnā bhī kyā
lakīroñ ke haiñ khel sab zāviye
idhar se udhar paañv dharnā bhī kyā
mujhe uub sī sab se hone lagī
ye jiinā bhī kyā aur marnā bhī kyā
agar un se bach kar nikal jā.iye
to phir us kī āñkhoñ se Darnā bhī kyā
ghane jañgaloñ kī bujhī kaise aag
kahīñ paas thā koī jharnā bhī kyā
kisī tarah se us kā ghar to milā
magar ab mulāqāt karnā bhī kyā