kabhī dekho to maujoñ kā taḌapnā kaisā lagtā hai
ye dariyā itnā paanī pī ke pyāsā kaisā lagtā hai
ham us se thoḌī duurī par hamesha ruk se jaate haiñ
na jaane us se milne kā irāda kaisā lagtā hai
maiñ dhīre dhīre un kā dushman-e-jāñ bantā jaatā huuñ
vo āñkheñ kitnī qātil haiñ vo chehra kaisā lagtā hai
zavāl-e-jism ko dekho to kuchh ehsās ho is kā
bikhartā zarra zarra koī sahrā kaisā lagtā hai
falak par uḌte jaate bādaloñ ko dekhtā huuñ maiñ
havā kahtī hai mujh se ye tamāshā kaisā lagtā hai