ajiib shai hai ki sūrat badaltī jaatī hai
ye shaam jaise maqābir meñ Dhaltī jaatī hai
chahār samt se tesha-zanī havā kī hai
ye shāḳh-e-sabz ki har aan phaltī jaatī hai
pahuñch sakūñgā fasīl-e-buland tak kaise
ki mere haath se rassī phisaltī jaatī hai
kahīñ se aatī hī jaatī hai niind āñkhoñ meñ
kisī ke aane kī saa.at nikaltī jaatī hai
nigah ko zā.eqa-e-ḳhāk milne vaalā hai
ki sāhiloñ kī taraf naav chaltī jaatī hai