phir naġhma-rez abr-e-bahārāñ hai āj-kal
phir chāk-e-dil ba-qadr-e-garebāñ hai āj-kal
rañgīnī-e-bahār kā allāh re fusūñ
sāz-e-dil-e-shikasta ġhazal-ḳhvāñ hai āj-kal
phir maiñ huuñ aur mahfil-e-jānāñ kī aarzū
phir mehrbāñ siyāsat-e-darbāñ hai āj-kal
merī jabīn-e-shauq meñ ġhaltāñ hai āj-kal
ye abr ye havā ye barastī huī sharāb
kāfir hai saḳht vo jo musalmāñ hai āj-kal
saaqī ne vā kiyā dar-e-mai-ḳhāna-e-hayāt
fitrat kī chashm-e-mehr pashemāñ hai āj-kal
maiñ aur daur-e-sāġhar-o-mīnā hai in dinoñ
āñkheñ haiñ aur tasavvur-e-jānāñ hai āj-kal
pahle bhī itr-bez nasīm-e-bahār thī
kis kī shamīm-e-zulf pareshāñ hai āj-kal
bhātī nahīñ hai dil ko kisī saaz kī sadā
naġhmoñ kā har-nafas meñ vo tūfāñ hai āj-kal
zholīdgī na pūchh fazāoñ meñ ham-nashīñ
ḳhushbū-e-zulf-e-dost pareshāñ hai āj-kal
har jalva-e-hayāt ba-qadr-e-nishāt-o-rañg
minnat-kash-e-tabassum-e-jānāñ hai āj-kal
ai rūh-e-dard-o-shād ye terā hī faiz hai
'jauhar' jo is adā se ġhazal-ḳhvāñ hai āj-kal