saa.e phail ga.e khetoñ par kaisā mausam hone lagā
dil meñ jo Thahrāo thā ik dam darham-barham hone lagā
pardesī kā vāpas aanā jhūTī ḳhabar hī niklī nā
būḌhī maañ kī aañkh kā taara phir se maddham hone lagā
bachpan yaad ke rañg-mahal meñ kaise kaise phuul khile
Dhol baje aur aañsū Tapke kahīñ moharram hone lagā
Dhor Dañgar aur pañkh pakherū hazrat-e-insāñ kaaTh kabāḌ
ik sailāb meñ bahte bahte sab kā sañgam hone lagā
sab se yaqīn uThāyā ham ne dost paḌosī din tārīḳh
īd-milan ko ghar se nikle shor-e-mātam hone lagā