is shahr-e-be-niyāz ke logoñ kī ḳhū na pūchh
kis kis adā se karte haiñ dil kā lahū na pūchh
ahl-e-vafā kī karte haiñ kyā kyā ye ḳhātireñ
ḳhud mil ke un ko dekh kabhī mujh se tū na pūchh
lagtī haiñ har galī meñ mohabbat kī boliyāñ
biktī yahāñ hai jins-e-vafā kū-ba-kū na pūchh
ik aan meñ hī dil kā jazīra jhulas gayā
shahr-e-badan meñ aisī chalī ġham kī lau na pūchh
āb-e-hayāt se bhī kaḌā hai tirā husūl
maiñ phir bhī terī kartā huuñ kyoñ justujū na pūchh
'nāsir' tumhārī zaat kī ḳhātir jahān meñ
kis kis ko maiñ ne apnā kiyā hai adū na pūchh