Manzar Ayubi

is tarah kabhi randa-e-darbar nahin the

Manzar Ayubi

Badayun, Uttar pradesh, India

1932
is tarah kabhī rāñda-e-darbār nahīñ the
rusvā the magar yuuñ sar-e-bāzār nahīñ the
sahrā meñ liye phirtī hai dīvāngī-e-shauq
kyā shahr meñ tere dar-o-dīvār nahīñ the
vo din ga.e jab manzil-e-jānāñ ke musāfir
rahrav the faqat qāfila-sālār nahīñ the
hai jur.at-e-guftār to phir sāmne aa kar
kah dījiye ham log vafādār nahīñ the
kyuuñ ham hī khaTakte rahe duniyā kī nazar meñ
dīvānoñ meñ ik ham hī tarah-dār nahīñ the
dete haiñ duā.eñ tirī duzdīda nazar ko
dīvāne kabhī itne to hushiyār nahīñ the
kyuuñ mohr-ba-lab kūcha-e-jānāñ se guzarte
insān the ham sāya-e-dīvār nahīñ the
vāraftagī-e-shauq batā tū hī ki ham se
ābād kabhī kūcha-o-bāzār nahīñ the
Top Urdushayar.com