ye karishma-sāzī-e-ishq kī mirī jaan zinda nazīr hai
jo faqīr thā vo amiir hai jo amiir thā vo faqīr hai
mirī ḳhvāhishoñ kī bisāt par ye jo ek surḳh lakīr hai
yahī ik lakīr to asl meñ na.e mausamoñ kī safīr hai
na vo sar-zamīñ na vo āsmāñ magar aaj bhī sar-e-dasht-e-jāñ
vahī haath hai vahī mushk hai vahī pyaas hai vahī tiir hai
kisī lab pe harf-e-sitam to ho koī dukh supurd-e-qalam to ho
ye bajā ki shahr-e-malāl meñ koī 'faiz' hai koī 'mīr' hai
mere ham-suḳhan mire ham-zabāñ baḌe ḳhush-gumāñ baḌe ḳhush-bayāñ
koī ḳhvāhishoñ kā ġhulām hai koī zulf-o-ruḳh kā asiir hai
ye ajiib ruḳh hai hayāt kā nahīñ manziloñ se jo āshnā
vahī rāstoñ kā charāġh hai vahī qāfile kā amiir hai