Manzar Ayubi

shahr ka shahr harif-e-lab-o-ruKHsar mila

Manzar Ayubi

Badayun, Uttar pradesh, India

1932
shahr kā shahr harīf-e-lab-o-ruḳhsār milā
naam merā hī likhā kyuuñ sar-e-dīvār milā
sochte sochte dhuñdlā ga.e yādoñ ke nuqūsh
fikr ko mere na ab tak lab-e-iz.hār milā
mushtahar kar diyā itnā tirī chāhat ne mujhe
naam ghar ghar meñ mirā sūrat-e-aḳhbār milā
jis kī qurbat ko tarastā thā zamāna kal tak
aaj vo shaḳhs akelā sar-e-bāzār milā
merī sachchā.ī ko is vaqt sarāhā tū ne
sar pe jab bāñdh ke maiñ jhuuT kī dastār milā
āñkhoñ āñkhoñ hī meñ lahrā.eñ bahāreñ 'manzar'
ik shajar bhī na bhare baaġh meñ phaldār milā
Top Urdushayar.com