Manzar Ayubi

visal-o-hijr ke qisse na yun sunao hamein

Manzar Ayubi

Badayun, Uttar pradesh, India

1932
visāl-o-hijr ke qisse na yuuñ sunāo hameñ
ab is azāb-e-shab-o-roz se bachāo hameñ
kisī bhī ghar meñ sahī raushnī to hai ham se
numūd-e-sub.h se pahle to mat bujhāo hameñ
nahīñ hai ḳhūn-e-shahīdāñ kī koī qadr yahāñ
lagā ke daav pe ham ko na yuuñ gañvāo hameñ
tamām umr kā saudā hai ek pal kā nahīñ
bahut hī soch samajh kar gale lagāo hameñ
guzar chuke haiñ maqām-e-junūñ se dīvāne
ye jaan lenā agar kal yahāñ na paao hameñ
hamāre ḳhuuñ se nikhar jaa.e ġham to kyā kahnā
baḌhāo dast-e-sitam daar par chaḌhāo hameñ
karishma-sāzī-e-fikr-o-nazar se kyā hāsil
bane ho ḳhizr to phir rāsta dikhāo hameñ
ye lamha bhar kā tasavvur to jān-levā hai
jo yaad aao to tā-umr yaad aao hameñ
kitāb-e-ishq haiñ lekin na itnī farsūda
ki be-paḌhe hī faqat mez par sajāo hameñ
ujaḌ na jaa.e urūs-e-suḳhan kī maañg kahīñ
ḳhayāl-o-fan kī na.ī jañg se bachāo hameñ
Top Urdushayar.com