ye to bajā ki ham raheñ chashm-e-karam se duur duur
ḳhud bhī na rah sake magar aap jo ham se duur duur
dair-o-haram kī nafrateñ lauT chukīñ nashāt-e-zīst
rāhravān-e-rāh-e-nau dair-o-haram se duur duur
ahl-e-jahāñ se kyā hameñ sirf malāl is kā hai
aap bhī ham se bad-gumāñ aap bhī ham se duur duur
merā mazāq-e-bandagī toḌ chukā hai rivāyateñ
aaj jabīñ hai aap ke naqsh-e-qadam se duur duur
ek udaas tīrgī qismat-e-bām duur huī
jab se tumhārī yaad hai shām-e-alam se duur duur
mai-kada-e-jahāñ meñ hai ek hujūm-e-mai-kashāñ
jām-e-sifāl ke qarīb sāġhar-e-jam se duur duur
dil meñ ḳhayāl-e-manzil-e-dār-o-rasan liye hue
aaj koī guzar gayā kū-e-sanam se duur duur
'manzar'-e-sāda-dil jinheñ dost samajh rahe the tum
aaj vahī vafā-sarisht ho ga.e ham se duur duur