kabhī ham but kabhī nūr-e-sanam ko dekh lete haiñ
aqīde se baḌī dair-o-haram ko dekh lete haiñ
kabhī rote hue mujh ko nazar-andāz karte haiñ
kabhī āñkhoñ meñ vo halkī sī nam ko dekh lete haiñ
kabhī us muskurāhaT meñ kabhī us be-ruḳhī meñ ham
sitam ko dekh lete hai karam ko dekh lete haiñ
hameñ is vāste bhī ā.īne par pyaar aatā hai
ham apnī aañkh meñ apne balam ko dekh lete haiñ
bichhaḌ ke ho chuke barsoñ magar ḳhvāboñ ko hai taslīm
ham un ko dekh lete haiñ vo ham ko dekh lete haiñ