saare jag se ruuTh jaanā chāhtī huuñ
haañ magar tum ko manānā chāhtī huuñ
ik ḳhushī gar tū jo mujh ko de sake to
saare ġham ko bhuul jaanā chāhtī huuñ
haañ vatan ko chhoḌā barso ho chuke haiñ
ab maiñ lekin lauT aanā chāhtī huuñ
ibtidā tū hī hai merī intihā bhī
maiñ faqat itnā batānā chāhtī huuñ
iiñT patthar se makāñ bante hai sab ke
maiñ bharose kā banānā chāhtī huuñ
bas tirā hī pyaar māñgūñ zindagī meñ
maiñ kahāñ koī ḳhazāna chāhtī huuñ
maiñ ne kab chāhā kī mar jaanā mujhe hai
ek jiine kā bahāna chāhtī huuñ