jab ḳhasāre hī kā sarmāya huuñ maiñ
phir zamīñ par kis liye aayā huuñ maiñ
TuuTe kirdāroñ kā malba joḌ kar
ik nayā qissa banā laayā huuñ meñ
ḳhvāb tak to Thiik thā lekin miyāñ
jāgne ke ba.ad ghabrāyā huuñ maiñ
jis kī buniyādoñ meñ shab kā husn hai
aisī kaalī dhuup kā saaya huuñ maiñ
apnī hī marzī se vāpas jaane de
dekh tere hukm par aayā huuñ maiñ
a peshawar āḳhirī koshish hai ye
ḳhvāb se ik fāḳhta laayā huuñ maiñ