Ishaq Virdag

raegani ka aariza hai mujhe

Ishaq Virdag

1977
rā.egānī kā āriza hai mujhe
zindagī ek hādisa hai mujhe
is ḳharābe se kab gila hai mujhe
apnā honā hī mas.ala hai mujhe
zimnī kirdār huuñ kahānī kā
apnī taqdīr kā pata hai mujhe
mujh ko andar kī kuchh ḳhabar hī nahīñ
aur bāhar kā sab pata hai mujhe
dasht meñ shahr yaad aatā hai
ishq kā pahlā tajraba hai mujhe
vaqt kā raaz jānñe se miyāñ
jaane ye kaun roktā hai mujhe
ek lamhe ko ruk ke sun le use
a zamīñ tujh se jo gila hai mujhe
merī hī aañkh ke vasīle se
ḳhvāb andar se dekhtā hai mujhe
kitne chehre uThā.e phirtā huuñ
ā.īna phir bhī jāntā hai mujhe
ik ḳhushī suud par milī thī kahīñ
us kā qarza utārnā hai mujhe
yuuñ hī ḳhāmosh maiñ nahīñ baiThā
shor andar kā Toktā hai mujhe
Top Urdushayar.com