Ishaq Virdag

is par ka ho ke bhi mein us par gaya hun

Ishaq Virdag

1977
is paar kā ho ke bhī meñ us paar gayā huuñ
ik ism kī barakat se ka.ī baar gayā huuñ
ḳhairāt meñ de aayā huuñ jiitī huī baazī
duniyā ye samajhtī hai ki maiñ haar gayā huuñ
thāme hue ik raushnī ke haath ko har shab
paanī pe qadam rakh ke maiñ us paar gayā huuñ
darvāze ko auqāt meñ laane ke liye maiñ
dīvār ke andar se ka.ī baar gayā huuñ
kyā mere liye ek bhī kirdār nahīñ thā
kyuuñ apnī kahānī se maiñ be-kār gayā huuñ
mushkil hai tujhe aag ke dariyā se bachā luuñ
ai shahr-e-peshawar maiñ tujhe haar gayā huuñ
ḳhvāboñ ne jo ik khel banāyā thā mire dost
is khel meñ ta.abīr se maiñ haar gayā huuñ
Top Urdushayar.com