ḳhvāb ne rakh liyā fasāne meñ
tum ne tāḳhīr kī jagāne meñ
is zamīñ ko falak banāne meñ
maiñ bhī shāmil thā ik zamāne meñ
tere kirdār ko uThāne meñ
mujh ko marnā paḌā fasāne meñ
kaam karte haiñ roz-o-shab sāhab
ham mohabbat ke kār-ḳhāne meñ
bām-o-dar dushmanoñ ke sāthī the
mujh ko dīvār se lagāne meñ
ishq meñ thoḌī sī suhulat thī
hazrat-e-qais ke zamāne meñ
dīn-o-duniyā se jaanā paḌtā hai
dil ko dīvāngī banāne meñ
vaqt hī har taraf rukāvaT hai
lā-makāñ se makāñ banāne meñ
aag ke darmiyān baiThe haiñ
qissa-ḳhvānī ke chā.e-ḳhāne meñ
maktab-e-ishq meñ sabaq paḌhne
log ā.eñge har zamāne meñ