Ishaq Virdag

main zamin Thahra to usko aasman hona hi tha

Ishaq Virdag

1977
maiñ zamīñ Thahrā to us ko āsmāñ honā hī thā
āsmāñ ho kar use nā-mehrbāñ honā hī thā
pyaas kī tahrīr se to ye ayaañ honā hī thā
be-nishāñ bātil to haq ko jāvedāñ honā hī thā
ruuh kī tajsīm se mumkin huī hai zindagī
lā-makāñ ke vāste bhī ik makāñ honā hī thā
vo gunah kī sarzamīñ par jannatoñ kā ḳhvāb thā
is tarah ke ḳhvāb ko to rā.egāñ honā hī thā
kab thī firdaus-e-barīñ meñ lazzat-e-lutf-e-gunah
is zamīñ kī justujū meñ kuchh ziyāñ honā hī thā
be nishāñ rastoñ pe ab tak gāmzan hai ye zamīñ
is liye bhī āsmāñ ko be-karāñ honā hī thā
meñ chalā thā raat ko bhī din banāne ke liye
sar pe mere dhuup ko phir sā.ebāñ honā hī thā
Top Urdushayar.com