Ishaq Virdag

main Khaali ghar mein bhi tanha nahin tha

Ishaq Virdag

1977
maiñ ḳhālī ghar meñ bhī tanhā nahīñ thā
ki jab tak aa.ina TuuTā nahīñ thā
sar-e-ā.īna vo chehra nahīñ thā
magar ye baat maiñ samjhā nahīñ thā
jahāñ sairāb hotī thī mirī ruuh
vo sahrā thā koī dariyā nahīñ thā
mujhe us moḌ pe maarā gayā hai
kahānī meñ jahāñ marnā nahīñ thā
mirī āñkhoñ ne vo aañsū bhī dekhā
mirī qismat meñ jo likkhā nahīñ thā
huī thī zindagī jab shahr meñ gum
kisī ko koī rañj is kā nahīñ thā
Top Urdushayar.com