kāġhaz ke bane phuul jo gul-dān meñ rakhnā
titlī kī udāsī ko bhī imkān meñ rakhnā
maiñ ishq huuñ aur merā nahīñ koī Thikāna
ai husn mujhe dīda-e-hairān meñ rakhnā
shāyad maiñ kisī aur zamāne meñ bhī aa.uuñ
mumkin to nahīñ hai magar imkān meñ rakhnā
ab markazī kirdār tumhārā hai mire dost
tum merī kahānī ko zarā dhyān meñ rakhnā
ye rāh-e-mohabbat to faqat band galī hai
āsān se raste ko bhī sāmān meñ rakhnā