hone kā e'tibār nahīñ kar rahe haiñ log
ab ḳhud ko iḳhtiyār nahīñ kar rahe haiñ log
ab ishq aur dasht ḳhasāre meñ haiñ miyāñ
ab dil kā kārobār nahīñ kar rahe haiñ log
tayyār hai tamāshā dikhāne ko ek shaḳhs
māhaul sāzgār nahīñ kar rahe haiñ log
ab hai nizām-e-ishq meñ tarmīm kā chalan
tāroñ kā bhī shumār nahīñ kar rahe haiñ log
hairān huuñ ki itnī riyāzat ke bāvajūd
kyuuñ vaqt ko ġhubār nahīñ kar rahe haiñ log
ḳhush huuñ ki āsmāñ se hai qaa.em zamīñ kā rabt
dukh hai ki pā.edār nahīñ kar rahe haiñ log
shāyad ki merī maut kā elaan ho chukā
ab mujh pe koī vaar nahīñ kar rahe haiñ log
aage kī dauḌ meñ hue mahdūd is tarah
maazī pe eqtidār nahīñ kar rahe haiñ log
ai yaar apne husn pe kuchh ḳhaak Daal de
ab ishq iḳhtiyār nahīñ kar rahe haiñ log
ab nisf shab nikalte haiñ be-ḳhauf kaam par
sūraj kā intizār nahīñ kar rahe haiñ log